• Dear readers, our reading section is temporarily offline as we’re redeveloping it from scratch to provide you with an even better reading experience. Stay tuned!

Masterpieces From Jannat Kay Pattay - Nimra Ahmed

Muhammad Usman

Popular Reader
Staff member
Masterpieces From Some Episodes.
"Jub woh naraz hota hay to insan ko akela chor deta hay or janto ho akela chor den kya hota hay?jub woh dua karta hay to woh qabool nahi hoti, woh madad mangta hay to madad nahi aati woh rasta talashta hay to rasta nahi milta."



"May bohat akeli hon meray pass koi nahi siwaye app kay, meray pass bajanay kay liye koi ghanti nahi hay, khatkanay kay liye koi darwaza nahi hay, hilanay kay liye ko zangir nahi hay, pehli umeed bhi App hain or akhri umeed bhi App hain agar App nay meri madad na ki to koi bhi meri madad nahi karey ga agar, App na cheen liya to ko na day sakay ga aur agar App day dain to koi na roook sakay ga."



"Chezain waqti hoti hain toot jati hain bikhar jati hain rawiyae dai-me hotay hian sadion kay liye apna asar chor jatay hain insan ko koi heez nahi hara sakti jub tak kay woh khud haar na man lay."



"Ya zindagi hay ismay bohat kuch sehna or bardasht karna parta hay apni mehroomion or dukhon ko bhula kar zindagi ki dooor may shamil hona parta hay werna insan waqt or zindagi ki door main bohat pichay reh jata hay."



"Door hamesa hum atay hain Allah wahin hay jahan pehlay tha fasla hum paida kartay hain or isko mitana bhi humain hota hay."



"kya zindagi itni jaldi khatam ho jati hay?
is say bhi jaldi guzar jati hay or humain pata bhi nahi chalta or hamara waqt khatam ho jata hay.
 

tiny bud

New Reader
dai-me......instead of..... i think there should be....daemi or daime, or daemy.... you know when there is (-) among characters readers never like it.... you must keep your coversation in your writing as real as posible to keep the interest of the readers.
 
Top Bottom