• Dear readers, our reading section is temporarily offline as we’re redeveloping it from scratch to provide you with an even better reading experience. Stay tuned!

Alfaz Jab Haqeeqat Ban Kar Samnay Aa Ja'Ein - From "Deemak Zada Mohabbat" Novel

Saad Sheikh

Readers.pk Founder
Staff member
Founder
Magazine Editor
Alfaz-Jab-Haqeeqat-Ban-Jaein.jpg


Zindagi may baaz cheezon ko saf-haat (pages) per likhna jitna asan hota hai, haqeeqi zindagi may un per amal karna utna hi mushkil hota hai. Baaz alfaz jab haqeeqat ka labadah aurh kar mujassam samnay aa'ein tou un ko deikhnay say hi aankhein jalnay lagti hein. Un ko chhoo kar mehsoos karna tou bohot door ki baat hai.

from "Deemak Zada Mohabbat" Novel by Saima Akram Chauhdry.​
 

Hareem

Popular Reader
Staff member
Beshak!! Saf'haat par likhy jany valy sab Alfaaz to vsy bhi haqeeqat hi hotay hain...Kabhi hamari kabhi ksi aur ki! :)
kahin parha tha k Is dunia may bola jany vala harz lafz,har harf sach hai qiun k Vo kahin na kahin to waqu pazeer zaroor hota hai...!

Bohat Khubsurat Lines...:thumbs up:
 

tiny bud

New Reader
:writer::writer::writer:Baaz alfaz jab haqeeqat ka labadah aurh kar mujassam samnay aa'ein tou un ko deikhnay say hi aankhein jalnay lagti hein ................................instead of..................... I think there must be......

Alfaz Jab Mujasim Haqeeqat samny hon to ankhon mein unki chubhan mehsos hony lagti hain...
 

tiny bud

New Reader
Zindagi may baaz cheezon ko saf-haat (pages) per likhna jitna asan hota hai, haqeeqi zindagi may un per amal karna utna hi mushkil hota hai.....................................instead of.................i think there should be.........

Zindagi Mein bohat si bateen auraq mein likhna to asaan hain per unpe amal kanton pe chalny jaisa hai...
 
Top Bottom